Infolinks In Text Ads

categories

Thursday 21 July 2011

Quranic Verses and Hadiths Regarding Tawheed :


Al-Quran: Allah Ta'la aur iskey Farishtey Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) per Rehmat bhejtey hain, Ae Iman waalo! tum bhi in per Durood bhejo aur khoob Salaam bhejtey raha karo
(Surah Al-Ahzaab, V# 56)
Hadees: Abdullah Bin Masood Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek seedhi lakeer khenchi, phir fermaya: "ye Allah ka raasta hai"
Phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne iskey daen aur baen (right and left) chund lakeerain khenchi aur fermaya: "ye mukhtalif raastey hain, in main se her ek raastey per Shetaan hai. (Musnad Ahmed)
Phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne ye Ayat tilawat fermae: "aur yaqeenan ye mera seedha raasta hai, lihaza tum isi ki pairwi karo aur tum doosrey raaston ki pairwi na karo, woh tumhain (Allah) ke raastey se alag ker daingey¤
(Al-An'aam, V#153)
Al-Quran: ager hum is Quran ko kisi pahar per Nazil kertey to aap dekhtey ke ALLAH ke khauf se jhuk ker phat jata aur hum ye misalain logo ke lye bayan kertey hain taakey woh gor karain¤ wohi ALLAH hey jiske siwa koi mabood nahi sab chupi aur khuli baato ka jan ney wala hai..¤
(Al-Hashr, V# 21,22)
Al-Quran:aur is shaks se bher ker baat ka acha kon ho sakta hai jo ALLAH ki taraf bulae aur Nek Amal karey aur kahe ke may Musalman hon¤
(Ha Meem Sajdah, V#33)
Al-Quran:Aap keh dijye ke ALLAH ek hai¤ ALLAH be-niaz hai¤ na iski koi Aulaad hai aur na woh kisi ki Aulaad hai¤ iska humsar koi nahi¤
(Surah Ikhlas, V# 1:4)
Hadees:Anas Raziallah Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, 3 (teen) ausaaf jis aadmi main hon woh inki badolat Imaan ki mithaas pa leta hai,
1. Woh Allah aur iske Rasool ko sab se ziada mehboob samjhe.
2. Kisi se mohabat kare to mehez Allah k lye.
3. Allah Ta'la ne ise 'kufr' se bachalia hai to ab woh 'kufr' ko is terha Na-pasand karey jis terha Aag main dala jana isey Na-pasand hai.
(Sahih Bukhari, Sahih Muslim)
Hadees:Abu Huraira Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, jab Ibn e Adam Ayat Sajjda tilawat kerke Sajjda kerta hai to, Shaitan Aah Baka kerta hoa us se door hojata hai, aur kehta hai meri ya inki tabahi ho, Ibn n Adam ko Sajjda ka hukm kia gaya to isne Sajjda ker lya to ise Jannat mileygi aur mujhe Sajjda ka hukm hoa to main ne Inkaar kia, lihaza merey lye Jahannam ka Wada hai.
(Sahih Muslim, Kitab ul Iman, H# 144)
Hadees:Rabia Deli Raziallahu Anha se rivayat hai k main ne apney ahd jahliat main dekha Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam Bazar-e-Zulmijaaz main fermatey they, Ae logo! "La Ilaaha Illallah" kaho kaamyabg ho jaogey.
(Musnad Ahmed, H# 1620:1624)
Hadees: Abu Huraira Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, tum main se her ek ke paas Shaitaan aata hai phir kehta hai Aasman ko kisney paida kia? Zameen ko kisney paida kia? Phir woh kehta hai ke ALLAH ko kisney paida kia? Tum main se jab kisi ko aesa wiswisa ho to kahey, Main ALLAH aur iske Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) per Iman laya.
(Sahih Muslim, Kitabul Iman, H#134)
Hadees:Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, aesa koi Shaks nahi jisney sachey dil ke sath is baat ki gawahi di ho ke, "kio Ma'bood nahi mager Allah Ta'la ke aur Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) iskey bandey aur Rasool hain" to Allah ne isper Aag Haram kerdi.
(Bukhari-o-Muslim, Sahih Muslim)
Hadees:Abdullah Bin Umar Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, gaib ki kunjian 5 hain, jinhain Allah ke ilaawa koi nahi janta,
1. Koi nahi jaanta ke kal kia hoga.
2. Koi nahi jaanta ke Maa ke pait main kia hai.
3. Koi nahi jaanta ke kal woh kia kamaega.
4. Koi nahi jaanta ke iski maut kahan waaqey hogi.
5. Koi nahi jaanta ke baarish kab hogi.
(Sahih Bukhari)

1 comments:

Current Affairs Magazine said...

Nice sharing, Thanks for sharing this type of posts, I search many time this type of post, are you interest to CoronaVirus Country Update

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More

 
Design by Free WordPress Themes | Bloggerized by Lasantha - Premium Blogger Themes | Hosted Desktops